Kesariya Wale Sun Lena

Kesariya wale sun lena ek sawaal deewane ka, Agar samajh mein aa jaye, toh bhakton ko samjha dena. Humne apna niyam nibhaya, Kesariya paidal aane ka, Dada tera kya farz nahi bhakton ke ghar aane ka.. Jiska ghar chhota sa ho, kya uske ghar nahi aate, Ya phir mujhse prem nahi, kyun mere ghar nahi aate. Ab itna batlao Dada kaise tujhe manane ka, Dada tera kya farz nahi bhakton ke ghar aane ka.. Aisa raasta dhoondh liya roz mile toh chain aaye, Ek din milne tum aao, ek din milne hum aaye. Ab toh pakka soch liya ghar Kesariya mein banane ka, Dada tera kya farz nahi bhakton ke ghar aane ka.. Jiska jiska ghar dekha wo kya tere lagte hain, Rishtedaari mein Dada wo kya humse badhke hain. Kya mera haq nahi banta hai tujhko ghar pe bulane ka, Dada tera kya farz nahi bhakton ke ghar aane ka..

श्री केसरियाजी मंदिर, ऋषभदेव

    Kesariya Wale Sun Lena | Shri Kesariyaji Temple