Mere Sar Par Rakh Do Dada

Mere sar par rakh do Dada, apne ye dono haath, Dena ho toh dijiye, janam-janam ka saath.. Mere sar par rakh do Dada, apne ye dono haath, Dena ho toh dijiye, janam-janam ka saath.. Suna hai humne sharanagat ko अपने गले लगाते हो Aisa humne kya manga jo, dene se ghabrate ho Chahe sukh mein rakh ya dukh mein, bas thaame rakhiyo haath .. 1 .. Jhulas rahe hain gam ki dhoop mein, pyaar ki chhaiya kar de tu Bin manjhi ke naav chale na, ab patvaar pakad le tu Mera raasta raushan kar do, chhaai andhiyari raat .. 2 .. Isi janam mein seva dekar, bahut bada ehsaan kiya Tu hi manjhi tu hi khivaiya, maine tujhe pehchaan liya Rahe saat janam, janmon tak bas rakh lo itni baat .. 3 ..

श्री केसरियाजी मंदिर, ऋषभदेव

    Mere Sar Par Rakh Do Dada | Shri Kesariyaji Temple